Saturday, August 30, 2014

~ 'Aaj Ka Insaan' ~


Aaj ka insaan kuch bhi dar guzar karta nahi hai
aaj ka insaan Allah se nahi machron se darta hai

kyun ustaad ki zubaan mei aqwaal e zarin nahi
aaj ka ustaad kiya likhta hai kya parrhta hai

aaj ka insaan pyaar muhabat ka bhooka hai 
har nazar pe nazar har haath pe haath rakhta hai

har ghareeb be kaar har ameer dost lagta hai
aaj ka insaan kiya apnaata hai kya parakhta hai

dosti narmi sabar o bardaasht kahan hai
sab ko  tez ghusse ka bukhaar charrhta hai

aaj ka insaan taish ka samaan karta hai
aai ka insaan shaitaan ki hamdardi karta hai

aaj ka insaan dehshat gard hai-banta hai
aaj ka insaan to bas paise ke liye marta hai


            

 Copyright CER 2014 


No comments:

Environment Stories & Memoirs: NAPOWRIMO--2024- A POEM A DAY ---30 POEMS IN 30 DA...

Environment Stories & Memoirs: NAPOWRIMO--2024- A POEM A DAY ---30 POEMS IN 30 DA... :    Today, we’d like to challenge you to write yo...